Ishq karta kuch aisa kamaal hai.

Naa koi zubaa hai
naa hain hai, na naa hai
har bhasha mai wahi
jo dil ki baat sabne kahin
ishne kia sabko behaal hai
chalte chalte mil jata hai kabhi bhi
ishq karta kuch aisa kamaal hai.

Ankhon mai rahe pani ki tarah
ehsaaso mai rahe kahaani ki tarah
khawabo mai rang ishke
chale duniya sari sang ishke
sulaj ke bhi sulje na yeh woh sawaal hai
khumta phirta yahan wahan
ishq karta kuch aisa kamaal hai.

Bachke chalne pe bhi takrata hai
ruki ruki saanso ko dharkaata hai
bin ishke jina muhkil hai
ishke baaton mai aaye yeh dil hai
bechaini mai karta yeh sabka bura haal hai
fizaao mai basera ishka .. 
ishq karta kuch aisa kamaal hai.

Complicated.... sweetest... love. 



copyright, All Rights Reserved 2013, Richa Gupta


No comments:

Post a Comment