Yuhi pighalte rehte hum.

Kash baadal hote hum, udte rehte yuhi dar badar
naa sehro ki chinta hoti, naa kisi ki galiyon ka dar
thamte naa kabhi, bus yuhi chalte rehte hum
sau kadam ki duri ho yaa ek kadam ka fasla 
milne ko manzilo se, yuhi pighalte rehte hum.

Bhaari jo hota mann kabhi, tut ke baras lete hum
chupaani ho jo nami ankhon ki, dhoop ki chaao ko taras lete hum
naa milte, naa mitte kisi se, bus khud mai machalte rehte hum
pal do pal ka fasana ho yaa umar bhar ka safar
milne ko manzilo se, yuhi pighalte rehte hum..

Dil ki narazgi ko, bijliyo sang chamak ke baya karte 
tute rishto ki miti ko, paani ki bochaaro se naya karte 
naa door hote kisi se, naa nibhaane ko milte hum 
khushnasib hote, na doobte, naa sote 
milne ko manzilo se, yuhi pighalte rehte hum.. !! 


No comments:

Post a Comment